Posts

Featured post

Some Unknown Facts (India)

Image
1. Sanskrit is considered as the mother of all higher languages. It is the most precise and therefore suitable language for computer software. (A report in Forbes magazine, July 1987). 2. India is the Largest democracy in the world, the 7th largest country in the world and one of the most ancient and living civilizations (at least 10, 000 years old). 3.  India has the second largest pool of Scientists and Engineers in the World. 4. India is the only country other than the USA and Japan, to have built a super computer indigenously. 5. India is the largest producer of milk, cashew nuts, coconuts, tea, ginger, turmeric and black pepper, in the world. It also has the world’s largest cattle population (281 million). It is the second largest producer of wheat, rice, sugar, groundnut and inland fish. 6 . The largest employer in the world is the Indian railway system, employing over a million people. ...

One Sided Love

Image
"Jab Pyaar mein Pyaar nah ho, Jab dard mein yaar nah ho Jab aasoun mein muskaan na ho, Jab Laafzo mein zubaan nah ho Jab saasein bas yunhi chale, Jab har din mein raat dhale Jab intezaar sirf waqt ka ho, Jab yaad uss kambat ka ho Kyun hun mein rahi jab kisi aur ki manzil, Dhadkano ne saath chhod diya Ae Dil Hai Mushkil, Ae Dil Hai Mushkil"

Story of every powerful women

Image
Mai Successful hona chahti hoon kyuki , Kyunki…Apne andar ke passion ko bahar nikaalna hai Aur Shaadi ke baad sirf ghar nahi sambhalna hai. Mai Successful hona chahti hoon kyuki , Sirf Baccho ke diapers nahi badalne Apni soach se duniya me bhi badlaav laana hai Mai Successful hona chahti hoom kyuki , Kyunki ye ek soach hai, jo mere dil ko chuyi hai Agar Google ke CEO Sundar pitchai hain  to PepsiCo ki Indira nooyi hai  Mai Successful hona chahti hoon kyu ki ,  Ab din bhar bina kuch productive kaam kiye bina nahi raha jata, Sirf khana banana aur ghar ki saaf safai ko ghar chalana nahi kaha jata. Mai Successful hona chahti hoon kyuki , Kyunki mai risk lene se nahi darti hoon Aur mai har roz, mai apne passion ko follow karti hoon Mai Successful hona chahti hoon kyuki , Kyunki is paagalpan aur junoon ko maine apni naso me bhar diya hai Kuch alag karna hai mujhe, Maine system ko challange kar diya hai Mai Successful hona chahti hoon kyuki , B...

Top 20 Motivational Quotes

1.  Saamne ho manzil toh raaste naa modna Jo bhi mann me ho woh sapne na todna, Kadam kadam par milegi mushkil tujhe Bas sitaare chunne ke liye kabhi zameen naa chhodna. 2.   Koi saath de na de, tu chalna seekh le Har aag se hoja waaqif, tu jalna seekh le Koi rok nahi paayega badhne se tujhe manzil ki taraf, Har mushkil ka saamna tu karna seekh le. 3.  Nazar ko badlo toh nazaare badal jaate hain Soch ko badlo toh sitaare badal jaate hain, Kashtiyan badalne ki koi zaroorat nahi Disha ko badlo kinaare khud ba khud badal jaate hain. 4. Jiyo itna ke zindagi kam pad jaaye Haso itna ke rona mushkil ho jaaye, Kisi chiz ko paana toh qismat ki baat hai Magar koshish itni kardo ke ishwar bhi dene par majboor ho jaaye. 5. Kyun dare ke zindagi mein kya hoga Har waqt kyun soche ke bura hi hoga, Badhta reh tu bas manzil ki aur Kuch naa bhi mila toh kya ? Tazurba toh naya hoga. 6.  Zindagi jeena asaan nahi hota Bina sangharsh ke koi ma...

Why I am not successful ?

Image
मैं कामयाब क्यों नही हूँ ? Why I am not successful ? Aksar yahi khyaal mere mann mein rehta hai… Virat Kohli ka International debut 20 saal ki age par hua tha, Lata Mangeshkar ji ne apna pehla gaana 13 saal ki umr mein gaaya tha, Ritesh Agarwal started OYO Rooms at the age of 17, Bill Gates started Mirosoft at the age of 18, Alia Bhatt got her first movie at the age of 19 And many more examples like these sometimes makes us feel inferior and continously hits our mind that why I am not successful, Mai kaamyaaab kyu nahi hun. Main mehnat kar raha hun. Din raat kaam kar raha hun. Apne har vision ko reality banane mein laga hua hun. khud se honest bhi hun. Dar dar ki thokrein bhi khaa li. Aur kayee baar bhookhe pet bhi so liya. Par phir bhi aaj mere paas woh sab kuch nahi hai jo maine socha tha . Agar kuch aise hi khyaal aapke mann me bhi  hai  , toh bhai iss baat ko na hashtag lagakar apni zindagi mein daal lo.. that everyone has a differe...

Ek Hero ki Kahani

Image
Yeh Kahani hai ek Hero ki… jo apni unn chhoti chhoti aankhon mein bade bade sapne liye hua tha.  Jab log usse puchte tum bade hokar banna chahte ho kya ?  ab woh khud hi confused tha, toh apna Hero bhi kahe kya. 3 idiots dekhi toh laga Engineer ban jau, Munna bhai dekhi toh laga Doctor ban jau, Jolly LLB dekhi toh laga Lawyer ban jau, MS Dhoni dekhi toh laga Cricketer ban jau, Kabhi Actor toh kabhi Singer, Kabhi Painter to kabhi Dancer. Nahi maalum tha ke bada hokar kya banega, lekin itna zaroor maalum tha ke apna Hero ek din kaamyaab zaroor banega. Uska bhi khwaab tha jaise Kabhi khushi kabhi gham mein Shahrukh ki entry hoti hai na, waise hi ek din uski bhi entry hogi. Jaise Ghajini mein Aamir ka lifestyle hota hai na, waisa hi ek din uska bhi hoga. Ek din poori duniya mein uska naam hoga, Tata, Birla, Ambani jaisa kaam hoga. Luxury car hogi, bada bunglow hoga, saare aish-o-araam honge. Aur phir finally woh din aa hi gaya jab apne Hero ki zindagi badalne waal...

Tujhe Darr hai kis baat ka

Tujhe darr hai… ??  Kis baat ka… ?? Struggle mein Failure ka ? Zindagi mein kuch na kar paane ka ? Pyar mein inkaar ka ? Uske chhod kar chale jaane ka ? Exam mein fail hone ka ? Job mein promotion ka ? Business mein Hard work ka ? Tujhe darr hai… ?? Kis baat ka… ?? Ek Bus conductor kabhi superstar nahi ban payega, Darr tujhe yeh samjhaayega. Ek chai waala kabhi Prime Minister nahi bann payega, Ek Ticket collector kabhi world cup nahi laa payega, Ek watchman(Nawazuddin SIddiqui) kabhi kalaakar nahi bann payega, Ek desi ladka(Amit Bhadana) kabhi youtube ka star nahi ban payega, Darr tujhe yeh sab samjhayega… Jab bhi tu kuch naya karna chahega, tere aage tera yeh darr aayega. Tujhse kahega ke tu aage kuch nahi kar paayega, par kya woh likh kar de paayega ke tu haar jayega.  Yeh darr tujhse tera vishwaas chinega. Tujhe kamzor banayega. Tujhe har lamha sataayega. Har pal rulaayega, tadpaayega. . Par tu khud par vishwaas dikha, Darr ka saamna kar, aage badh. Tu darr se aankh m...