Featured post

Top 20 Motivational Quotes

1. Saamne ho manzil toh raaste naa modna
Jo bhi mann me ho woh sapne na todna,
Kadam kadam par milegi mushkil tujhe
Bas sitaare chunne ke liye kabhi zameen naa chhodna.

2.   Koi saath de na de, tu chalna seekh le
Har aag se hoja waaqif, tu jalna seekh le
Koi rok nahi paayega badhne se tujhe manzil ki taraf,
Har mushkil ka saamna tu karna seekh le.

3. Nazar ko badlo toh nazaare badal jaate hain
Soch ko badlo toh sitaare badal jaate hain,
Kashtiyan badalne ki koi zaroorat nahi
Disha ko badlo kinaare khud ba khud badal jaate hain.

4. Jiyo itna ke zindagi kam pad jaaye
Haso itna ke rona mushkil ho jaaye,
Kisi chiz ko paana toh qismat ki baat hai
Magar koshish itni kardo ke ishwar bhi dene par majboor ho jaaye.

5. Kyun dare ke zindagi mein kya hoga
Har waqt kyun soche ke bura hi hoga,
Badhta reh tu bas manzil ki aur
Kuch naa bhi mila toh kya ?
Tazurba toh naya hoga.

6. Zindagi jeena asaan nahi hota
Bina sangharsh ke koi mahaan nahi hota,
Jab tak naa pade hathaude ki chot
Pathar bhi bhagwaan nahi hota.

7. Woh khud hi tay karte hain manzil aasmaano ki
Parindo ko nahi di jaati taalim udaano ki,
Rakhte hain jo hausla aasmaan chhune ka
Unko nahi hoti parwah gir jaane ki.

8. Har sapne ko apni saanson mein zinda rakh
Har manzil ko apni baahon mein zinda rakh,
Har jeet teri hogi bhai
Bas apne lakshya ko apni nigaahon zindagi mein rakh.

9. Manzil insaan ke hausle aazmaati hai
Sapno ke parde aankhon se hataati hai,
Kisi bhi baat se himmat naa haarna
Thokar hi insaan ko chalna sikhaati hai.

10. Jab tootne lage hausla tab ye yaad rakhna
Bina mehnat ke haasil takhto taaj nahi hote,
Dhund lena andhero mein manzil apni
Jugnoo kabhi roshni ke mohtaaj nahi hote.

11. Khokar paane ka mazaa hi kuch aur hai
Rokar muskuraane ka mazaa hi kuch aur hai,
Haar toh zindagi ka ek hissa hai bhai
Haarne ke baad jeetne ka mazaa hi kuch aur hai.

12. Haalaat ke kadmo par sikandar nahi jhukta
Toote bhi tar toh zameen par nahi girta,
Girti hai bade shauk se samandar mein nadiyan
Kabhi kisi nadi mein samandar nahi girta.

13. Kitno ki taqdeer badalni hai tumhe
Kitno ko raaste par laana hai tumhe,
Apne haatho ki lakeero ko mat dekh
Inn lakeero se boht aage jaana hai tumhe.

14. Darr mujhe bhi laga tha faasla dekh kar
Lekin mai badhta gaya raasta dekh kar,
Khud ba khud mere nazdik aati gayi meri manzil…. Mera hausla dekh kar.

15. Manzil toh  mil hi jaayegi ek din bhatakte bhatakte hi sahi
Gumrah toh woh hue jo darr ke ghar se nikle hi nahi,

16. Zamaane ki nazar mein thoda akad kar chalna seekh lo, 
Mom jaisa dil lekar firoge toh log jalaate hi rahenge.

17. Bujhi shama bhi jal sakti hai
Toofaano se bhi kashti nikal sakti hai,
Hokar maayus yun naa apne iraade badal
Teri qismat kabhi bhi badal sakti hai.

18. Mil sake asaani se 
uski khwaahish kise hai,
Zidd toh uski hai
Jo mukaddar mein likha hi nahi.

19. Hausle ke tarkash mein
Koshish ka woh teer zinda rakh,
Haar jaa chahe zindagi mein sab kuch
Magar phir se jeetne ki umeed zinda rakh.

20. ये मुश्किलें, ये कशमकश,
ये जद्दोजहद, ये दुश्वारियां,
ऐ ज़िन्दगी तू लाख नखरे दिखा…
तुझसे इश्क़ है… तो है!!

Comments

Popular posts from this blog

Terrible Tale of Education System – A Single Sheet of Paper cannot Decide my Future

Daily Motivation 7

Important facts about indian rivers