Featured post

Tujhe Darr hai kis baat ka

Tujhe darr hai… ??  Kis baat ka… ??


Struggle mein Failure ka ?
Zindagi mein kuch na kar paane ka ?
Pyar mein inkaar ka ?
Uske chhod kar chale jaane ka ?
Exam mein fail hone ka ?
Job mein promotion ka ?
Business mein Hard work ka ?

Tujhe darr hai… ?? Kis baat ka… ??

Ek Bus conductor kabhi superstar nahi ban payega, Darr tujhe yeh samjhaayega.
Ek chai waala kabhi Prime Minister nahi bann payega,
Ek Ticket collector kabhi world cup nahi laa payega,
Ek watchman(Nawazuddin SIddiqui) kabhi kalaakar nahi bann payega,
Ek desi ladka(Amit Bhadana) kabhi youtube ka star nahi ban payega,
Darr tujhe yeh sab samjhayega…

Jab bhi tu kuch naya karna chahega, tere aage tera yeh darr aayega. Tujhse kahega ke tu aage kuch nahi kar paayega, par kya woh likh kar de paayega ke tu haar jayega. 
Yeh darr tujhse tera vishwaas chinega. Tujhe kamzor banayega. Tujhe har lamha sataayega. Har pal rulaayega, tadpaayega. .

Par tu khud par vishwaas dikha, Darr ka saamna kar, aage badh. Tu darr se aankh mila, use chunauti de, usse Challenge kar. Apna hunar dikha, Khud ko improve kar. Apni kamzori ko apni taaqat bana, din raat ek kar mehnat kar aur khud ko kaamyab bana.


Phir ek din aisa aayega jab yeh darr, Tujhse darr jayega.

Comments

Popular posts from this blog

Terrible Tale of Education System – A Single Sheet of Paper cannot Decide my Future

Daily Motivation 7

Important facts about indian rivers