Featured post

Motivational Story 1

This  Motivational Story is about a person who wants to be successful, but is not doing anything about it, except for just giving excuses.
Ek aadmi ko janana tha ki successful kaise bane tho vo ek successful aadmi k paas gaya or us se pucha , sir mujhe bataye ki mai kaise successful ban sakta hu. Us aadmi ne kaha chalo , vo usey ek nadi ke pass le gaya or usko paani mai dhakel diya uss aadmi ko tairna nahi aata tha lekin us nai apni puri takat laga ke us pani se bahar nikal aaya or doosre aadmi se kaha mai to aapse suggestion lene aaya tha lekin aap to meri jaan hi le lete .
Tab usne kaha jab tum paani ke andar the tab pani se bahar nikalne ke alawa tumhe koi kaam nahi tha, tumne koi bahana nahi banaya, bas tumhare liye sab se important kaam tha ki tum pani se bahar niklo. Jis din tum is baat ko samajh jaoge ki bahane banane se kaam nhi chalega , Kaam karne ki value ko samjho.
Apne goal ke liye nahi apne purpose ke liye kaam karo woh purpose jo har insaan ke paas hota hai lekin har koi use achive nhi kr pata, kyunki unke paas reason hai kisi kaam ko na karne ke liye. Kuch log kehte hai ki mujhe woh kaam karna hai lekin mai us wajah se woh nahi kar paa rha, yaar woh log apni life mai kabhi kuch nhi kr sakte. Vo puri life excuses dete dete mar jayenge . Lekin Vo Banda jise kuch karna hai woh apne aap se kahega yaar mujhe woh kaam krna hai lekin kitni bhi pareshaani aaye mujhe to woh karna hai .
Bahane banana band karo . Yaar hum sab ki life ke goal alag alag hai lekin purpose ek hi hai sab ko apni life mai kuch aisa karna hai ki unka naam is duniya ke logo ki zubaan par ho . Apni life me kuch aisa karo ki log tumhe jane, log ko sochne pe majboor ho jaaye, agar aapko bhi aisa kuch karna hai to yaar bahane mat banao.
Aap sab jaante ho is duniya me kuch log apne kaam se dissatisfied ho kar us kaam ko band kar dete hai or kuch apne kaam se dissatisfied ho kar use kaam ko improve karte kyunki unhe pata hai ‘aaj nahi to kal mujhe meri mehnat ka fal milega’ Unke paas ek purpose hai kaam karne ka, apna naam is duniya ko batane ka vo itihaas (History) ratne k liye nhi itihaas rachne k liye jeete hai .
To yaar kisi kaam ke liye Excuses mat do bas us kaam ko karne ke liye lag jaao. Jiske paas goals hai vo mehnat karta hai lekin, jiske paas purpose hai vo apne kaam ko samajhta hai apne competition ko analyse karta hai, or uska purpose itna strong hota hai kitni bhi mehnat karni pade woh us purpose ko achive kar leta hai.
Aap jis din se Excuses dena band kar denge, Us din se aap apni life mai kuch bahut bada kar jaaoge.
Yaaro Bas aakhri me itna hi kahunga .
“बहाने लगाने वाले एक तरह से खुद को ही आरोप देता है. “

Comments

Popular posts from this blog

Terrible Tale of Education System – A Single Sheet of Paper cannot Decide my Future

Daily Motivation 7

Important facts about indian rivers