Featured post

Examphobia


Aap apna sukh chain aur saara aish o aaram bhulane vale hain
I know aap sabke exams aane vale hain.
Unproductive logo ko bhula diya
Masti aur mazaak vale armano ko sula diya.
Aane vale hain exams…aapka kya irada hai..?
Kya aapke dreams ki keemat aapki neend se zayada hai…?
Alarm ki aavaz se irritation zarur hogi..
Lekin vahi alarm ki teekhi aavaz ek din taliyon ki gadgadahat me badal kab jayegi…aapko pata v nahi chalega.
Mehnat itni karo ke aapke table ki lamp light ek din stage ki spot light me badal jaye…
Aur Dark circles…
Aapki aakho ke neeche ka area bhale hi dark ho gaya ho…
lekin aapka aane vala future zarur bright hoga…
Jo insaan…jo insaan hardwork karta hai vo kabhi fail nahi hota.
Agar aap yaad karne ke liye padhte ho to aap bhool jaoge
Agar aap kuch naya seekhne ke liye padhte ho to aapko vo yaad rahega..
Sleeves ko fold karo,
Apne sapno ko hold karo…
Aalas ko hide karo
Mobile ko side rakkho
aur padhna shuru kar do…
Jaan laga do yaar…poori jaan laga do…
Be the hardest working person you know…
Agar aap kuch seekhna nahi chahte to aapki help koi nahi kar sakta
Aur Agar aap seekhne ke liye kaam kar rahe ho, to aapko koi nahi rok sakta.
Success tabhi milegi jab aap sacrifise karoge…
Entertainment ka sacrifise
Mobile phone ka sacrifise
Comfort zone ka sacrifise
Fashion aur trends ka sacrifise
aapke Friends ka sacrifise
Apne vale sare plans ka sacrifise
Clash of clans ka sacrifise.
Kuch dino ke liye ye sab chod do…
Aap in rassiyon se kyu bandhe ho…inhe tod do..
Jab aapka dimag kahe ke ye bahot mushkil hai to use kehna…
Khamooshhhhh….
{Jab tak todega nahi…tab tak chodega nai}
Ye serious hone ka time hai
Ab aalas karna ek crime hai
Aapko abhi hardwork karna padega so that future me kisi ko apne results batate waqt aap neeche dekhte hue nahi… balki garv ke sath…uski aankho me aankhe mila ke baat kar sako…
Improve karne ke liye kaam karo
Proove karne ke liye nahi…
Aalas aasan cheezo ko mushkil
Aur mushkil cheezo ko namunkin bana deta hai
Apne goals ko thodi raftaar do…
Aapke excuses aapke sabse bade dushman hain yar…Unhe maar do..
ZIndagi ko junoon ke sath jiya karo
Apne aap ki bhi value kiya karo
Kyunki jab tak aap khud ki value nahi karoge
Tab tak aap apne time ki value nahi karoge
Jis din se aapne apne time ki value karni shuru kar di…
Aap apne us valuable time me kuch bhi kar sakte ho…
Log kehte hain time is money…
Nahi yaar! Time is more valuable than money…
Paise ek baar chale jaye to aap dobara kama loge…
Log ameer se gareeb hoke fir ameer ho jate hain
Paise na ho to bank vale personal loan de dete hain
Parents, relatives, aur dosto se udhaar le sakte ho…
Apna koi saaman bech ke uske badle paise le sakte ho…
Din raat ek kar ke mehnat se fir kama sakte ho..
lekin agar ek bar time chala gaya to
Na to koi bank loan me dega
Na koi dost reshtedaar udhaar me de sakta hai
Na hi mehnat kar ke vapas kama sakte ho…

Comments

Popular posts from this blog

Terrible Tale of Education System – A Single Sheet of Paper cannot Decide my Future

Daily Motivation 7

Important facts about indian rivers