Featured post

Tu Chalta ja (motivational)

Kismat hai naraaz khadi
Aage musibat badi badi
Har mushkil ko jhel jayenge
Aag ho ya paani khel jayenge
Struggle dekh sab ho gaye dher
Maine cheera Faada jaise Babbar sher
Der-Saver Kabhi na Kabhi
Aaj nahi to aur kabhi
Karenge log gaur kabhi
Lage raho bas rukna mat
Aayega tumhara daur kabhi
Ho shor kabhi un logo ka
Jo karte tumhe support
Agar sath raha fir un sab ka
To OK hogi sari report
Hai hosh vahi
Madhosh nahi
Haters mere sare behosh kahin
Unme hai jalan
Aakrosh vahi
Kuch kaam karne ka josh nahi
Jis Waqt vo ghar pe so rahe the
Hum zimmedariyon ko dho rahe the
Jab Humko mili success ki trophy
Vo phone pakad ke ro rahe the
Jaan Bujh kar
Anjane me
Apna aapa kho rahe the
To jal mat mujhse
Bol imaan se
Niklega mera teer kamaan se
Chithde-chithde udd jayega
Niklega fir teer kamaan se
Ab soach vichar ke karo koshish
Apne sapne buno na
Aur ab bhi tumko samajh na aaya
To fir….Sssuno na..
Raasta apna chuno na..
Gino na
Vo sapne saare,
Band aakho se lagte jo pyaare
Log tumhare khaas-khaas
Success ka raaz tumhare pas
Ghar valo ko hogi tumse aas
Ke ladka karega kuch bada
Apne pairo pe ho khada
Aasman me ched karne ki
Zidd pe aake hai tu ada
Chal ho khada
Tu kadam badha
Bas rukna mat
Tu chalta jaa..
Bas rukna mat
Tu chalta jaa..
Bas rukna mat
Tu chalta jaaaaaaa..
Sometimes..
Life dosen’t seems fair
Sometimes…
Love is not enough
Would you give up…?
If you will fail..
is this the end?
NO!
I CAN NOT!
I can not give up now!
I will get up!
I will RUN!
I will work!
I will FIGHT!
Tere hath me na jeena marne
Sapno ke liye baha khoon paseena
Baith ke beta kabhi kuch nahi milega
Karam kiye bina fal nahi milega
Uthe bina kaise chalega
Chale bina kaise badhega
Jeet se pehle dar milega
Soach badlega tabhi upar uthega
Naam banega agar karega mehnat
Hogi tujhpe bhi uski rehmat
Mushkilon se milke milegi manzil
Khush hoga tere apno ka dil
Daulat milegi
Shauhrat milegi
Duniya ki har cheez milegi
Jis din tu ho jayega kabil
Naam tera hoga itihas me shamil
Badaam khane se akal nahi aati dhakke khane se aati hai
To yaar bas dhakke khate raho
Aur kadam aage badhate raho
Apne dreams ko karo chase
Ek din tumhara bhi hoga craze
musibaton pe prahaar karo
Aur jab tak jeet na mile intzaar karo…

Comments

Popular posts from this blog

Terrible Tale of Education System – A Single Sheet of Paper cannot Decide my Future

Daily Motivation 7

Important facts about indian rivers